sent by
ASMA BANU
Mysore Karnataka from India
maut se darr nahin lagta mujh ko
tere sajde mein zindagi bithan achahti hun
bas kami hai tere rahemo karam kii maula
my to tere pass aana chahti hun
---
dill lagane wale lakhon millenge
pyar karne wale hazaron milenge
milne wale roz milenge
par hum jaise dill wale dhoondne se bhi nahin milenge
---
teri aankhon me yeh jo nami si chayi hai
wo mere door hone kii gawahi hai
yaad itna na kya karo mujhe
hichkiyan le le kar meri jaan pe ban aayi hai
---
yeh zindagi bin tere kat jayegi
par kuch kami to zaroor rahe jayegi
kal ko tadpayegi to kabhi tarsayaegi
har lamha jab bhi teri yaaad aayegi
---
meri tanhayi ka mujhe gila nahin
kya hua jab koi mujhe mila nahin
phir bhi dua karenge aap ke waste
aap ko wp sab mile jo mujhe mila nahin
---
kabhi kisi se judayi mat karna
iss dost se ruswayi mat karna
jab dill bhar jaye toh hame bata dena
na bata ke bewafayi mat karna
---
door jaa ke tum se door jaana sake
kitna roye kisi ko bata na sake
gam yeh nahin ke aap se mill na sake
dard bas yeh hai ke pal bhar ke liyeh bhi
aap ko bhulna sake
---
waade to bahut hain kiyeh hue
musibat ke waqt mein chod ke chal diyeh
bewafa kahe un ko ya khud ko bewafa
zindagi mein ab to tanha rahe gaye
---
jan kar bhi wo jaan na sake
aaj tak wo mujhe pahechan na paye
khud he karli bewafayi hum ne
take un par koi ilzaam na aaye
0 comments:
Post a Comment